Dekho...

Wednesday 28 August 2013

Kabhi sunkar dekho, kabhi sunakar dekho
Bhawnao ke samandar ko bahakar dekho
Chup na raho, khamosiyon me gun gunake dekho
Dil ke goonjon ko batake to dekho

Kagaj ke panno me kho jake dekho
Khayalon ke sagar me lehrake dekho
Ankhon ke isharon ko churake dekho
Pyaar ki paribhasa suljhake dekho

Kabhi Suraj ki roshni me, kabhi chanda ki chandni me
Kabhi baarish ke boondon me, kabhi hawaon ki jhonko me
Kabhi phoolon ki khusbu me, kabhi titliyon ki aabru me
Kabhi dil ke justaju me, kabhi chahaton ki aarju me
Har un tarangon me hamari ehsas lake dekho
Har un duriyon me najdeek bulake dekho

Kabhi Sur se Sur milake dekho
Kabhi network lagake dekho
Yaadon me basake rakhna un har palon ko
Sapnon ki imarat pe takdeer ko milake dekho
Din me jagake dekho, raat ko sulake dekho
Kabhi in bahon me khud ko bhulake dekho

Dil ke lehron ki gehrai me samake dekho
Hamare junoon ko apna tarana banake dekho
Sikayaton ke kastiyon ko hatake dekho
Filhal dil ke taraju me naap ke dekho

Ikrar ki intezaar na karna
Fariyadon ki fuhar karke dekho
Dil ke sholon ko chingari na ban ne dena
Dil ki baton ko bayan kar dekho;
Hum tumhare hain aur tumhare rahenge
Thoda aetbaar aur intezaar karke dekho

Dekhna hi to zindagi hai
Kuch cheezon se itna undekha mat ho jao
Ki jab dekhna chaho bas dekhte hi reh jao


Signing off
A.M.

2 comments:

  1. Devasrita said...:

    Dekhte hi dekhte, yeh na pata chala kab mehsoos karne lage
    Padhte padhte, yeh na pata chala kab kho se gaye ekdum
    Jaane in panktiyon mein aisa kya rass hai, ki hum khud se juda ho gaye..

    Shukriya aapka jisne hame jindegi ki un chooti chooti chezon se roobaroo karaya! Warna kya pata hum bhi gairo ki taraf bhatak chuke hote :) :)

  1. A.M. said...:

    jinko mehsoos karna tha, wo roshni me andhere ko dhundte rahe
    dil me basaya hai jinko wo ankho se door hote rahe
    khusi hai ki koi to in panktiyon ke bhawnao ke kareeb aae
    dil ke ye aansoon chalo kisi ke kaam to aae

    Whoa!!Thank you so much.. And you know what, I loved your lines..bcoz they were like the perfect lines someone would write as an answer to my poem..And its an honour to have u reading my blog :)

Post a Comment